Saturday, August 23, 2025

Sharmindagi Ka Safar

[Intro - Couplet (sher), spoken]
Kaagaz ki kashti lekar chala
Karne paar samundar sapno ka...
Kaagaz ki kashti lekar chala
Karne paar samundar sapno ka;
Mujhe samundar tho duba na saka
Main sharmindagi mein dooba raha!

[Chorus - D-minor, saxophone]
Shaayad main nadaan hi tha,  
Hawaon ko pehchaan na paaya.  
Kaagaz ki kashti lekar main chala,  
Karne paar samundar sapnon ka!

[Verse 1 - E-minor, guitar]
Dekh rahe thay mujhko diwane,
Paagal, junooni, begaane, mastaane.
Ruki nahi unki hassi, jo shuru hui...
Mere aasu pee gaya samundar.

[Chorus - D-minor, piano]
Shaayad main nadaan hi tha,  
Hawaon ko pehchaan na paaya.  
Kaagaz ki kashti lekar main chala,  
Karne paar samundar sapnon ka!

[Saxophone solo - deep, emotional]

[Verse 2 - D-minor, saxophone]
Dil tootne per jo avaaz nahi hoti,
Wohi deti hai dard, har shor se zyada.
Mujhe samundar duba ke na maar saka,
Main sharmindagi se jo maraa padaa tha!

[Chorus - D-minor, piano]
Shaayad main nadaan hi tha,  
Hawaon ko pehchaan na paaya.  
Kaagaz ki kashti lekar main chala,  
Karne paar samundar sapnon ka!

[Saxophone solo - deep, emotional]

[Outro - E-minor, guitar]
Mujhe samundar tho duba na saka
Main sharmindagi mein hi dooba raha!
Mujhe samundar tho duba na saka
Main sharmindagi mein hi dooba raha!
Main sharmindagi mein... dooba... raha!


-- Pradeep K (Prady)


Style: 
D-minor, E-minor, saxophone, cinematic, bollywood.


No comments: